Karnatak high court ne aaj hijab maamle me faisla sunate huye kaha hai ki Hijab pehenna Islam ka laazmi hissa nahi hai hijab pehenne ki ijazat ko lekar daali gayi sabhi yachikaron ko court ne kharij kar apna faisla sunaya hai ki school collages ko apni uniform decide karne ka adhikaar hai
Jaante hain aisa faisla kyun aaya hai kyunki humne apne mazhabi shi'aar se is qadar duniyan ikhteyar kar li hai maano hamare mazhab me iski koi ahmiyat o haisiyat hi na ho humne daadhi rakhne ko tarjeeh nahi di isliye Indian army me jaane wale sikkh samaj ko to dadhi rakhne ki ijazat hoti hai lekin musalman samaj ko nahi kyunki sikkha samaj ne apne mazhabi shi'aar ko is qadar follow kia ki maano uske bina unka mazhab mukammal hi nahi hota or humne humne kya Kiya dadhi nahi rakhi namaz nahi padhi hamari behno ne hijab nhi kia usi ke nataij hain ki aaj aise faislon ka saamna hume karna pad raha hai
Socho agar awwal din se hi hamari maa behno ne khud ko hijab me rakha hota to ise aaj dusron ki nazar me bhi Islam ka ek zaruri hissa maana jaata smjha jata lekin afsos humne is qadar apne mazhab ke farz wajibaat se dooriyan ikhteyar karlin hain ki log use hamare mazhab ka zaruri hissa hi smjhna band kar chuke
Ab khush ho ki tumhare maa behne nange sar bina hijab ke aise schoolo me jayengi jahan ladke bhi sath padhte hain ab afsos karne se kuch hoga to nahi haan lekin khud par afsos karne ka hi maqam hai
Agar tumne Aaj is hijab ke maamle se seekh nahi li to anqareeb mumkin hai ki is tarah faisle hamare or bhi farz wajibaat ke liye aa sakte hain hum namazon se dooriyan banaye rakhenge to kal ko aisi court hamari namaz ko ye keh kar ban kar dengi ki ye Islam ka ek zaruri hissa nahi tab kya karoge Kahan jaoge kon tumhari yaha sunne wala betha hai
Ye qaum tumhe apne Deen se door hote huye hi dekhna chahti hai or tum unki chah ko kis qadar poora karne par tule huye ho Aey Musalmano ab bhi dair nahi huyi hai apne mazhab par is tarah dat jao maano uske baghair tumhara guzara hi nahi hoga namazon ki pawandi aise karo ki log khud kahen musalman khane ke baghair to reh sakta hai magar namaz ke baghair nahi chehre par sunnate rasool aise sajao ki tumhe bhi sikkha samaj ki tarah army me dadhi rakhne ki ijazat ho sikkha samaj ne hamare mazhab ki cheezon ko apnayaa hua hai or afsos humne musalman hokar bhi saari cheezo ki thukra rakha hai
Allah hume taufeeq de ki hum apne mazhab par sabit qadam reh kar apni mazhai shi'aar ko zinda rakhen or Islam ki farz wajibaat cheezo par aise amal karen maano iske baghair hum reh hi nahi sakte Allah kahne sunne se zyada hume karne ki taufeeq Ata farmaye ....Aameen
Az-Qalam : S.M.S. Ali
NOTE : POST ME LIKHI GAYIN BAATEN WRITER KI ZAATI TAHREER HAI NA KE ILM-UL-HUDA KI