QAWANEEN BARAYE DAKHILA WA FEES
- Dakhila lete waqt dakhila form ko sahi sahi dekh kar bharna zaruri hai kyunki mustaqbil me sari malumaat isi form se akhaz ki jaati hain.
- Dakhila lete waqt hi aapko admission fees ke sath hi pehle maheene ki fees pay karni hogi sirf admission fees pay karne ki surat me dakhila mukammal nahi hoga
- Jo talibaat maheene ke darmiyaan me dakhila lengi unhe us maheene ki puri fees pay karna lazim hoga
- Jo talibaat kisi bhi course ya jamat ke darmiyaan me admission lengi to unko us jamat ke guzre tamam mahino ki fees admission ke waqt hi ada karni hogi
- Jo talibah baghair kisi maqool uzr ke ittela kiye baghair kisi bhi course ko darmiyaan me hi chhod de to use dubara usi course me nahi liya jayega
- Tamam talibaat ko mahana fees maheene ke shuruwaati 3 dino ke andar hi pay karna lazim hai 3 dino ke baad pay karne ki surat me rozana teyshuda fine ke sath fees pay karni hogi
- Admission fees or monthly fees pay karne ke baad kisi bhi surat me refund nahi kiya jayega isliye pukhta irada karke hi admission len
- Admission fees ya mahana fees pay karne ke baad fees ka screenshot lekar bataye gaye number par bhejna lazim hoga, Screenshot na bhejne ki surat me aapki fees taslim nahi ki jayegi
QAWANEEN BARAYE DARSGAAH
- Tamam talibaat ko class me rozana hazir hona lazim hai
- Agar kisi uzr ke tehet chhutti lena pade to kam az kam class shuru hone se pehle tak teacher ko inform karna zaruri hoga
- Class group me teacher ya talibaat ke sath kisi tarah ka behes o mubahisa karna sakht mana hai Jo bhi baat karni ho adab ke dayere me reh kar karen
- Class me milne wale homework ko rozana karna hoga
- Talibaat bila ijazat class ki ladkiyon ke sath alag group kisi surat me na banaye or na hi kisi talibah ko khas karen balki tamam talibaat aapas me ek dusre ki islah karen
- Agar kisi talibah ko koi bhi dikkat ya pareshani aati hai to aisi surat me ILM-UL-HUDA ki sadre muallimat se raabta karen na ki baghair inform kiye group se left hon warna group se baghair inform kiye hatne par dubara class group me nahi liya jayega
- Class ke dauraan or mahafil me jo bhi aadaab o naseehaat sikhlayi o batayi jayen un par sakhti se amal karne ki koshish karen
- Mahana mehfil me jisko jo bhi mauzu diya jaye us mauzu ki tayyari karna or mehfil me use achhe andaz me bayaan karna lazim hai agar koi talibah mehfil me maujood nahi reh sakti hai to iski ittela teacher ko pehle hi karden warna mustaqbil me mehfil me bayaan karne ke liye aapka intekhaab nahi kiya jayega
QAWANEEN BARAYE IMTEHAAN
- Tamam talibaat ko sare imtehaan me waqt par hazir rehna lazim hai ghair haazri ki surat me fail kar diya jayega
- Sare imtehaan tahreeri o taqreeri dono tareeqe se liye jayenge
- Dauran e imtehaan tamam talibaat ki video on rakhwayi jayegi isliye tamam talibaat exam shuru hone se pehle hi parde ka ahtimam karlen
- Dauran e imtehaan video chalu karke teacher ke bataye huye tareeqe se hi mobile ki jagah ka intekhaab karen or mobile ke camere se ojhal hone ki surat me number kaate ja sakte hain
- Dauran e imtehaan kisi bhi tarah ki ghair munasib harkat dekhe jaane par bila tambeeh number kaate ja sakte hain
- Tahreeri imtehaan ke baad tamam jawabon ki ek sath pdf banakar muqarrara waqt me hi teacher ko bhejna hoga agar koi page aapki ghalti se reh jaata hai to iske zimmedar aap khud honge waqt nikalne ke baad koi bhi uzr qabile qubool na hoga
- Jo talibaat 1 ya 2 paper me chand numberon ki wajah se fail hongi unko teyshuda fine ke sath mazeed ek mauqa diya jayega aur jo talibaat 2 se zayid paper me fail hongio wo dubara usi jamat me padhengi
NOTE : All these rules keep changing time to time, You should keep reading the rules of ILM-UL-HUDA by coming here once in a month.
Social Plugin