Sawal : Rajasthan se Nghma Bano Ka sawal hai ki Isha ki namaz ke baad Umri Qaza padhte waqt kuchh log nafl chhod dete hain to kya ye durust hai.
Al-Jawab : Jis baat ka bande ko hukm hai use waqt me karne ko Ada kehte hain or waqt nikal jane ke baad karne ko Qaza kehte hain.
Bila uzre sharaee Namaz ko Qaza kar dena bohot sakht Gunah hai us par Farz hai ki us ki Qaza padhe or sachche dil se Tauba kare. Tauba ya Hajje Maqbool se Takhair ka Gunah maaf ho jaega
( Durr-e-Mukhtar)
Masla- Tauba jab hi sahi hai ki Qaza Padh le jo zimme me baqi hai usko to Ada na kare Tauba kiye jae ye Tauba nahi.
(Radd-ul-Muhtar)
Hadees me farmaya ki Gunah par qayam reh kar istighfar karne wala uske misl hai jo apne Rab se thatha karta hai
(Al-Hadees)
QAZA NAMAZ
Farz ki Qaza farz hai or wajib ki Qaza wajib hai or sunnat ki Qaza sunnat yani wo sunnaten jin ki Qaza hai jaise- Fajr ki sunnat jab ki Farz bhi fot ho gya ho or zuhar ki pehli sunnat jab ki Zuhar ka waqt baqi ho
( Durr-e-Mukhtar , Radd-ul-Muhtar)
QAZA NAMAZ YA NAFL
Masla- Qaza namaze Nawafil se eham hain yani jis waqt nafl padhta hai unhen chhod kar unke badle Qazaen padhe taki bariuzzima ho jae. Albatta taraweeh or 12 rakaten sunnate muakkidah ki na chhode.
(Qanoon-E-Shariat Qaza Namaz ka Bayan)
Khulasa-
Is masle ki roshni me ye baat samajh aayi ki Qaza namaze padhna farz hota hai to jab kisi ke zimma farz baqi hai to use chahiye ke use pura kare or nawafil jo ki zaaidah hain unki jagah bhi Qaza namaze padhe taki jald bari ho jae.
(Wallahu wa Rasooluhuﷺ A'alam)
Katabahu : Aalima Nazra Fatima Razviyyah ( Principal Idara Ilmulhuda Online )
NOTE : HUMSE KISI BHI TARAH KA DEENI SAWAL KARNE KE LIYE HUME APNA SAWAL LIKH KAR BHEJE HAMARE OFFICIAL WHATSAPP NUMBER PAR - +91 8765665732
We Offer Lots Of Islamic Courses For Girls In Online Mode
For More Information Visit On : Courses