Jaise ki Aurat ka na sirf jism ka parda hai balki aawaz ka bhi parda hai or ye sab janne ke baad bhi kuch aalimayen apni aawaz to kya jism ka bhi mukammal parda nahi karti agar kahin taqreer karti hain to chehra khol kar karti hain khawateen ke saamne chehra kholne me to koi harj nahi hai haan lekin aawam me bethe logon me itna ilm to hota nahi hai pata nahi kon video bana kar social media par daal de phir Aalima behen ka saara parda rakhar reh jaaye
Aur dusri baat jo saamne aati hai ki kuch aalimayen jo apne jism ka parda to karengi lekin jab stage par taqreer karengi to loud speaker se karengi kehne ko to wo apne baare me kahti rahtin hain ki main aawaz ka bhi parda karti hun lekin wo saare dawe yahan khokhle nazar aate hain jab wo stage par Mike se taqreer karti huyi nazar aati hain pata nahi kitne ghair mard unki aawaz ko sunte honge or pata nahi kitne mard us aawaz se mutassir hote honge jiski wajah se nayi khurafaten bhi panapne ka pura andesha rehta hai
Halanki is sab ke baawjood agar koi unki islah karne chala jaye to mazaal hai ki wo use tasleem karen balki wo aapko hi shariat ka sabaq padhane lag jaati hain khair Allah hidayat de
Aakhir me bas itna hi kahna chahunga ki jitna aurat ke liye uske jism ko chhipana zaruri hai utna hi uski aawaz ko bhi kyunki khurufaton ka janm narm aawaz se hi shuru hota hai na ki seedhe jism se
Az-Qalam : S.M.S. Ali
NOTE : POST ME LIKHI GAYIN BAATEN WRITER KI ZAATI TAHREER HAI NA KE ILM-UL-HUDA KI