Christmas Ki Mubarak Baad Dena Kufr Kyun.?
Christmas Ek Eesaai Tyohar Hai Jis Ki Shuruaat 25 December 336e. Me Hui Is Se Pehle Christmas Ka Koi Naam O Nishaan Na Tha. Christmas Eesaaiyon Ka Shiaar Hai Duniya Bhar Ke Eesaai Is Din Ko Dhoom Dhaam Se Manate Hain Un Ka Aqeedah Hai Is Din Hazrat Eesa Alaihissalam Jo Unke Nazdeek Khuda Ke Bete Hain(Ma'azAllah) Unki Wiladat Hui ( Is Din Ka Hazrat Eesa Alaihissalam Ke Yaume Wiladat Hone Me Shak Hai). Eesaai Is Din Hazrat Eesa Alaihissalam Or Hazrat Maryam Ka Waqya Drame Ki Surat Me Pesh Karte Hain Or Ek Darakht Hazrat Maryam Ki Taraf Mansoob Karte Hain Kaha Jata Hai Wo Apni Saari Tanhai Uske Paas Baith Kar Guzarti Thin. Usi Ko Christmas Tree Kehte Hain.
Jo Musalman Christmas Day Ki Tazeem kare to Esa Hai Goya Usne Is Din Ke Saath Mansoob Saari Baaton Ko Tasleem Kiya Ki Is Din Allah ﷻ Ne Beta Jana (Ma'az Allah) Jabki Allah Ta'ala Quraan E Majeed Me Irshad Farmata Hai Na Wo Kisi Ki Aulad Hai Na Uski Koi Aulad Hai Lihaza Jisne Is Din Ki Tazeem Ki Usne Khuda Ke Sath Aulad Sabit Kiya Jo Ki Kufr Hai Or Wo Kaafir Ho Gya
Imam e ahle sunnat imam Ahmad raza khan alaihirrehma apni mashhoor e zamana kitab fatawa razwiya me likhte hain ki Christmas, diwali, holi ko achha samajhna aur iski tazeem me mubarakbaad dena kufr hai
Hawala- Fatawa razwiya 14/273
Note: yaad rahe Biger Tazeem Ke Bhi Ese Kisi Tyohar Me Shareek Hona Ya Unki Mubarakbaad Dena Na-jayaz O Haram Hai
Rozana is tarah ki deeni posts hasil karne ke liye hamare WhatsApp channel ko follow karen
We Offer Lots Of Islamic Courses For Girls In Online Mode
For More Information Visit On : Courses