Ham kya Bane achhe shehri ya achhe musalmaan, aaj ke daur ka musalmaan isi kashmakash me pareshan hai, duniya ki zarooriyaat or wajibaat ko pura karen, ya deen ke usoolon ki pabandi karen, ghar chalane or aulad ko padhane par dhyan den, ya deen ke farameen par amal karen.
Yaad Rakhen agar aap sirf achha shehri banna chahen, sirf apni or apne ghar ke zarooriyaat me hi mashghool ho jaen or deen ke farameen ko nazarandaaz karen to na aap achhe shehri ban sakte hain na achhe musalmaan. Achhe shehri ka kya mana hai? Jo paise kamae or apna ghar chalae, kya islaam aapko isse rokta hai? Nahi! Islam to kehta hai Rizq kamao lekin halaal kamao sood se bacho. Yani na haq kisi ka maal na lo, kisi par zulm o zyadati na karo, wo cheeze jo haraam hain jo logon ki takleef or nuksaan ka samaan ban sakti hain un se bachen, to jab aap islaam ke sikhae hue is tareeqe se Rizq kamaenge to sahi mano me achhe shehri ban paenge.
Achhe shehri ka mana kya hai? Jo apne bachon ko aala taleem de or un ka mustaqbil sanware, kya islaam aapko isse rokta hai? Nahi! Islaam to kehta hai apne bachon ko padhao lekin use deen bhi lazmi sikhao halaam haraam ka farq, jayz or najayz me tameez, badon ka adab, chhoton se muhabbat, ghar walon, padosi or muashre ke hukook bataen taki ye bachha na sirf padha likha naujawaan bane balki mustaqbil me ek achha insaan Bane.
Yaad rakhiye ek achhe shehri or achhe musalmaan me umoom khusoos ka rishta hai. Har achha musalmaan achha shehri ho sakta hai, kyunki islaam hame wo saari cheeze sikhata hai jo hamare muashre ko khoobsurat banati hai, lekin ek achha shehri achha musalmaan nahi ho sakta.
Apne dil ki kashmakash ko mitaen or samjhen islaam me sirf bhalai hai aapke liye bhi aapke bachon ke liye bhi aapke muashree or aapke Desh ke liye bhi, to khud bhi islaam sikhen or uspar amal karen or apne bachon ko bhi sikhaen.