"Khadiyah Radi'allah Anhaa business woman thin" Dear Muslimah, Kyu humein unke baare mein yahi yaad rahta hai jab hum unhein example ke roop mein pesh karte hain?
Kya aap unhein sirf business woman ya woh khawatin ke roop mein yaad karte hain jisne Huzur ﷺ ko shadi ka paigam bheja?
To dekhiye :
Agli baar jab hum Hazrat Khadijah RadiAllahu Anhaa ka zikr karen, to unke in sifaat aur khubiyon ka bhi zikr karen
• Vo ek nek aur haya wali khatoon thin (modesty )
• Nek akhlaq ki malik
• Woh achi maa thin
• Pyar karne wali biwi, apne shohar ki itaat karne wali khatoon
• Unhein apne shohar ki pairwi karne mein koi takleef nahi thi
• Woh unki badi madadgar thin (supporter)
• Unhone zindagi mein kai mushkilein dekhi lekin apne deen aur shohar ke liye wafadar rahin
• Unhonein apne ghar ko nek banaya
• Woh parhezgar musalman khatoon thin jo Allah aur Huzoor ﷺ ki pairwi karti thin
Ye tamam wo sifaten hain jinki wajah se hazrat khadija Raziallahu ta'ala anha ko itna baland martaba mila Allah Paak hame bhi Hazrat Khadija ki tarah zindagi guzarne ki taufeeq ata farmae (Aameen)