Sawal : Gujrat se Asmina Quraishi ka sawal hai ki Aaj kal kuchh log Makharij or tajweed ke mutallik kehte hain ke hamare buzurg to ye sab nahi sikhte the na unhe aisa padhne ata tha kya esa kehna dusrt hai or aise logon ko kya jawab dena chahiye
Al-Jawab : Rasulallahﷺ ka farman hai..
طَلَبُ الْعِلْمِ فَرِيضَةٌ عَلَى كُلِّ مُسْلِمٍ
Ilme deen hasil karna har musalman par farzhai mard ho ya orat.
Is Hadees-e-Mubarka se maloom hua ki kam az kam zaruriyat ka ilm hasil karna har musalman par farz hai or farz se kisi halat me chhutkara nahi milta.
Quraane paak ki aayat-e-karimah hai
وَرَتِّلِ الْقُرْآنَ تَرْتِيلًا.
(Sureh Muzammil Aayt 4)
Lihaza Quraan ko tarteel yani sahi makharij or sifat ke sath padhna wajib hain.
Farz ya wajib kisi insan ke zimme se nahi hatte to koi agr ye kahe ke hamare khandan ke buzurg namaz nahi padhte to isse namaz ki farziyat ka inkar nahi hota isi tarh ye kehna ke pehle ke log makharij ke sath Quraan nahi padhte the to ham par bhi padhna zaruri nahi ye ghalat hai Quraan ko durust padhna har ek par wajib hai to apni ghalti ka har ek ko jawab dena hoga qayamat me ye nahi suna jaega ke hamare bade nahi padhte the isliye ham ne bhi nahi padha har koi apna zimmedar hai lihaza har ek momin ko chahiye Quraane kareem ko tarteel ke sath padhna sikhen or kam az kam itna ilme deen zarur hasil karen jo farz hai.
(Wallahu wa Rasooluhuﷺ A'alam)
Katabahu : Aalima Nazra Fatima Razviyyah ( Principal Idara Ilmulhuda Online )
NOTE : HUMSE KISI BHI TARAH KA DEENI SAWAL KARNE KE LIYE HUME APNA SAWAL LIKH KAR BHEJE HAMARE OFFICIAL WHATSAPP NUMBER PAR - +91 8765665732
We Offer Lots Of Islamic Courses For Girls In Online Mode
For More Information Visit On : Courses